Monday, June 27, 2011

Aahistaa-Aahista

Sarakti Jaaye Hai,,, Rukh Se
Naqaab… Ahistaa-Ahista
Nikalta Aa Raha Hai,,, Aftaab…
Aahistaa-Aahista
Jawan Hone Lage,, Jab Wo To
Humse… Kar Liya Parda
Hayaa Yakalakht Aaaee,,, Aur
Shabaab ….Aahistaa-Aahista
Sab-E-Furkat Ka Jaaga Hoon
Paristhon Ab To Sone Do
Kabhi Fursat Main,, Kar Lena
Hisaab …Aahistaa-Aahista
Hamaare Aur Tumhaare,,,,
Pyaar Mein Bas… Farq Hai
Itna
Idhar To Jaldi Jaldi Hai,,,
Odhar Aahistaa-Aahista
Badi Bedardi Se Sar Kaate
‘Ameer’ Aur Main Kahoon
Unse
Huzur Aahistaa,,, Aahistaa
Janaab …Aahistaa-Aahista

khoya insan..

Zindgi Kiya Hai Apni
Ek Toota Aina Hai
Maut Kiya Hai Apni
Ek Choota Ashiyan Hai
Zuban Kiya Hai Apni
Ek Roota Biyan Hai
Mohabbat Kiya Hai Apni
Ek Jalta Gulistan Hai
Taqdeer Kiya Hai Apni
Ek Soya Jahan Hai
Shanakht Kiya Hai Apni
Ek Khoya Insaan Hai

laut ana

Jab Tumhein Yeh Yaqeen Ho
Jaye
Ke Main Tumhein Kitna
Chahta Hoon
Tumse Kitni Mohabbat Karta
Hoon
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Jab Tumhain Aisa Lage Ke
Koi Tumhare Sang Nahi Hai
Koi Tumhara Hamdam Nahi
Hai
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Jab Tumhain Zindagi Dushwar
Lage
Jab Koi Umeed Na Koi Aas Ho
Koi Bhe Na Tumhare Pass Ho
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Agar Kabhi Yadein Bohat Dukh
De
Tanhai Ka Ehsas Bohat Satae
To Usi Din Tum Lautt Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Jab You Lage Tumhain Ke
Tum Ab Aik Qadam Bhe Nahi
Chal Sakti
Mazeed Is Aag Main Nahi Jal
Sakti
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Jab Har Saans Boojh Lagne
Lage
Tum Andar Hi Andar Tootne
Lago
To Ausi Din Tum Lautt Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Na Mile Panah Kisi Key
Banhoon Main
Aur Shiddat Se Kisi Ke
Zaroorat Ho
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Jab Yeh Ehsas Tumhain
Tadpane Lage
Ke Tum Ne Kabhi Tukraya Tha
Kisi Ko
Yah Phir Koi Tumhain Tukra
De
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Aankhoon Main Ajay Agar Ask
Tumhari
Aur Koi Shaks Pouchne Wala
Na Ho
Koi Ghum Bant Ne Wala Na Ho
To Usi Din Tum Lautt Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Koi Tord De Agar Dil Tumhara
Ho Agar Na Koi Muqabil
Tumhara
Tanhai Ka Ehsas Bohat Sataee
To Usi Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Yeh To Dukh Deti Hain Sada
Tumhain Bhe Yadein Sataye
Jab
Mehfil Main Bhe Khud Ko
Tanha Paoo
To Us Din Tum Laut Aana
Tum Mujhe Apna Muntazir
Paao Gi
Yeh Mera Wada Raha Tumse
Jo Kuch Bhe Main Ne Kaha
Tumse
Yeh Sab Na Bhool Paoo Gi
Tum Muje Sada,Sada Apna
Muntazir Paoo Gi

laazmi tha

Gustakhiya Woh You Karte
Rahe Par
Hamhara Unhe Maaf Karna
Laazmi Tha
Pyar Tha Unse,
Har Tarah Unhe Apnana
Laazmi Tha
Woh Jo Na Samjhe Is Baat Ko…
Unka Humhein Tukrana
Laazmi Tha
Dil Ki Baat Demag Jo Na
Samjha
Raasto Ka Alag Hona Laazmi
Tha
Par Har Baat Har Rishte Se…
Ziyada Chaha Tha Unko,
Dil Ka Hamhara Toot Jaana
Laazmi Tha
Yeh Dard Ab Jo Haad Se
Bardgaya…
To Humhein Unhe Bhul Jaana
Chaha…
Par Humhare Dil Ke Hatho
You Bebas Hona
Unhe Na Bhula Pana Laazmi
Tha
Gustakiya Woh You Karte Rahe
Par
Humhara Unhe Maf Karna
Laazmi Tha

bass tum aa jao

Jab Kabhi Yoon Chalte Chalte
Saaya Bhi Mere Saath Na Ho
Jab Badal Barasna Bhool Jaye
Aur Dhoop Ki Tapish Barh Jaye
Jab Kali Lambi Raaton Main
Wahshat Ke Sanatai Phail Jaye
Jab Sahil Par Wairani Ho
Aor Lahroon Main Toufan Na
Ho
Jab Mausam Sari Thum Jayain
Aur Waqt Ki Gardish Ruk Jaye
Jab Phooloon Main Khushboo
Na Rahe
Aur Titli Bhi Be Rang Lage
Jab Hontoon Par Muskaan Na
Ho
Aer Aankhoon Main Barsat Na
Ho
Jab Khamoshi Si Cha Jae
Aur Duniya Saari Ruk Jaye
To Aisae Nazuk Lamhoon Main
Aor Kuch Bhi Nahi
Bas Tum Aa Jao